Nazar me kaif na tha,, dil me aks-e-yaar na tha...
Mera junoo'n kbhii sharminda-e-bahaar na tha...
Ye waaqeya hai k gulshan me phool khilte rahe...
Ye haadsa hai k daaman me koi khaar na tha...
Khata muaaf,,,, main sheesho'n ki tah me doob gya...
Mujhe huzoor ki aankho'n pe aitbaar na tha...
Ameer-e-sheher ne ilzaam dhar diye warna...
Ghareeb-e-sheher kuchh itna gunaah-gaar na tha...
Hm unke chaak girebaa'n ko kya rafoo krte...
Hme khud apne girebaa'n pe ikhtiyaar na tha...
Main sochta hun bhala kis tarah se guzrii hai...
Wo ek shab k tumhara bhi intezaar na tha...
Mujhe fizaa-e-chaman raas hi na thi MOHSIN...
K nikhato'n ka safar itna khushgawaar na tha...!!
0 Comments