Tumhein kiya farak parta hai.....!

Tumhein kiya farak parta hai.....!
Main tum se roth jaon tou,
Tumhare pas na aaon tou,
Phir tum se duurr jaa kar main,
Kabhi wapis na aaon tou,
Tumhari yaad mein gum sum,
Kabhi aansu bahaon tou,

Tumhein kiya fark parta hai....!
Tumhare piyar mein aksar,
Khud ko bhool jaaon tou,
Main teri deed mein tanha,
Kabhi khud ko mitaon tou,
Main tumse door reh kar phir,
Akele marr bhi jaaon tou,
Tumhein kiya fark parta hai

Post a Comment

0 Comments