Dil-e-naasaaz ny be had mujhy majboor kar Daala
Tu maiN ny dhaRkanoN ko dil sy khud hi door kar Daala
Banaaya tha jisy ehsaas ky sheeshoN sy kal maiN ny
Bachaaya tha jisy toofaan sy har aik pal maiN ny
PaTaKh kar us ko phaiNkaa aur us ko choor kar Daala
Tau maiN ny dhaRkanoN ko dil sy khud hi door kar Daala
Jo dhaRkan ban ky rehtaa tha kahooN naa aashna us ko
Samajh aati nahiN kaisy kahooN maiN be wafaa us ko
Jo khushiyaaN baanT'taa tha us ny hi ranjoor kar Daala
Tau maiN ny dhaRkanoN ko dil sy khud hi door kar Daala
Chalo ab munqate karty haiN saary raabity apny
judaa karny paRaiN gy aaj Aashi raasty apny
Tera ye faisla roty huwy manzoor kar Daal
Tau maiN ny dhaRkanoN ko dil sy khud hi door kar Daala
Dil-e-naasaaz ny be had mujhy majboor kar Daala
Tau maiN ny dhaRkanoN ko dil sy khud hi door kar Daala
0 Comments