Na jane sab se behthi hon.
Jala kar Aag cholay mein.
Baray se Dhekchay me phir.
Bohat sa pani dala hai.
Kabhi chamcha chalati hon.
Kabhi dhak'kan hatati hon.
Magar pathar nahi galtay.
Mere sab Bache bhokay hain.
Mujhe bhi bhook khati hai.
Na Salan hai Na Roti hai.
Faqat pathar hi baki hain.
Pakane ka Salika hai.
Bohat Aasan Tarika hai.
Magar Pathar Nahi Galtay.
Suna Hai Doar Wo bhi Tha.
" khalifa Khud Nikalta Tha "
Koi Bhoka Koi Piyasa Agar is Raat Hota Tha.
Bhara Gandom se Eik thela Kamar Pay Laad Lata Tha.
Yahan Par Koi Nahi Aaya.
Na Jane Kab Se Behthi Hon
Mujhe Jo Bhi Moyassar Hai Main Bacho Ko Khila To Don.
Magar Pathar Nahi Galtay.
0 Comments