Dil e ashuftgan se kheltay hain
Maken hain aur makan se kheltay hain
Bicha kar khud bisat-e-waqt ulti
Zamen wale zaman se kheltay hain
makan aur la'makan k darmyan ko
Hata kar darmyan se kheltay hain
Hamen kya fikr-e-farda, hum wahan hain
Jahan sab jism-o-jaan se kheltay hain
Bala ka hosla hai kar gason mein
Kahan k hain, kahan se kheltay hain
Chalo matti bhi ho jayen ge ik din
Abhi to asman se kheltay hain
Yahan herat kadon k darmyan hum
Haqiqat mein guman se kheltay hain
Hisab-e-zindagi rakhna hai kis ko
Chalo sod-o-zyan se kheltay hain
Kahani kar khud ko qissa-e-gham
Bana kar dastan se kheltay hain
Nahi hai umr jin ki khelnay ki
Wo chup chup kar jahan se kheltay hain
Hai jin ko zaum-e-goyaai wo Seema
Tere husn-e-bayan se kheltay hain
0 Comments