Sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana
Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone mein
Usse poori tarah se tum bhulado phir chale jana
Ya sare paerh podhe tere bin ek rut jage hue
Tum aake aik baar inko sulado phir chale jana
kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko mitado phir chale jana
Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chale jana
Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana
Jo tum kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
sa ma`at ko talab hai wo suna do phir chale jana
Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana
Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!
0 Comments