Ye shehr-e-karb-o-balaa hy Hussain jaanty thy
Magar khuda ki razaa hy Hussain jaanty thy
Koi yazeed na naamoos-e-deen kry paamaal
Baqaa-e-deen ki sadaa hy Hussain jaanty thy
Udhar hy chaadar-e-islaam ka taqaddus bhi
Idhar Ali ki rida hy Hussain jaanty thy
Hussainiyat ko mily ga dawaam har lamha
Yazidiyat ko fana hy Hussain jaanty thy
Furaat kaisy na khud karbla talak pohancha
Furaat kaisy ruka hy Hussain jaanty thy
Ye khaak badly gi rangat, shaheed hon gy Hussain
Ye Mustufa ny kaha hy Hussain jaanty thy
Uthaaya jab Ali Asghar ko apny haathon main
Kahaan sy teer chala hy Hussain jaanty thy
Jhukaaya sajda-e-aakhir maiN apna sar jis dam
kahaaN pe kon khaRa hy Hussain jaanty thy
Na aysa hosla Aashi falak bhi daikhy ga
Magar ye deen ki baqaa hy Hussain jaanty thy
0 Comments