Sar-E-Bazm Husn-E-Kalam Tha

Sar-E-Bazm Husn-E-Kalam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Kabhi Shehr Shehr Mein Aam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Abhi Khak Par Bhi Likhein To Moj-E-Hawa Mita K Uljh Pare,
Kabhi Zeenat-E-Dar-O-Baam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Bhare Din K Zard Tamazaton Mein,
Bujhe Bujhe Se Rahe Magar
Rukh-E-Shab Pe Mah-E-Tamam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Mere Dil Se Too Ne Khurch Dia,
Tere Dil Main Ne Ganwa Dia,
Kabhi Misal-E-Naqsh-E-Dawaam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Usay Raakh Hoti Hoi Sahar Ki Hawa K Hath Se Cheen Le,
K Mata-E-Mehfil-E-Sham Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi,

Kabhi MOHSIN-E-BEKHABAR Mile,
To Naye Dino K Odhairna,
K Gaye Dino Ka Payam Tha,
Tera Naam Bhi Mera Naam Bhi

Post a Comment

0 Comments