Us tarha toota hun k bikhar janey ko jee chahta hai,
Teri bahoon main simt aney ko jee chahta hai,
Tujh ko pa loon main dil-o-jaan sey apni humdum,
Rooh main tum ko basa leney ko jee chahta hai,
Sard maosam main badal ki tarha chupkey sey,
Tum ko ankhoon main sama leney ko jee chahta hai,
Terey husn-e-rukhsar ki nazakat ka kya kehna,
Jaan ko apni gnwa deney ko jee chahta hai,
Garmi-e-ishq hai k mujh ko tarrpati hai boht,
Terey sung preet nibaney ko jee chahta hai,
Dard ka taa’luq teri ulfat sey boht gehra hai,
Jaam samjh kar issey pee janey ko jee chahta hai,
Apni chahat main teri umeed liye dard-e-darban pey,
Sham-e-zindgi sey pehley he soney ko jee chahta hai,
Kaon deta hai sahara kisey umeed kahan sey Siddaq
Gir k ab khud he sambhal janey ko jee chahta hai,
0 Comments