Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut,

Zakhm jhele daagh bhi khaaye bahut,
dil laga kar hum toh pachhtaaye bahut.

Jab na tab jagah se tum jaaya kiye,
hum toh apni or se aaye bahut.

Dair se su-e-haram aaya na tuk,
hum mizaaj apna idhar laaye bahut.

Phool gul shams-o-qamar saare hi the,
par humen un mein tumhin bhaaye bahut.

Gar buka iss shor se shab ko hai toh,
rowenge sone ko hum-saaye bahut.

Woh jo nikla subh jaise aaftaab,
rashk se gul phool murjhaaye bahut.

‘Meer’ se poochha jo main aashiq ho tum,
ho ke kuchh chupke se sharmaaye bahut.

Post a Comment

0 Comments