Chaand ke chaaron taraf maili ridaayen saath hain,
khaak itni sar chadhi kis ki hawaayen saath hain.
Ek aurat se wafa karne ka ye tohfa mila,
jaane kitni auraton ki badduayen saath hain.
Ungliyan meri sitaaron tak pahunch sakti nahin,
mutthiyon mein jugnuon ki badduayen saath hain.
Din khila hai phool sa aur raat bheegi aankh si,
koi mausam ho yahan donon hawaayen saath hain.
Main hun ek kaaghaz ka tukra jaane kis ki khoj mein,
kyon mere peechhe zamane ki hawaayen saath hain.
0 Comments