Koi na jaan saka woh kahan se aaya tha,

Koi na jaan saka woh kahan se aaya tha,
aur uss ne dhoop se baadal ko kyon milaaya tha.

Ye baat logon ko shayad pasand aayi nahin,
makaan chhota tha lekin bahut saj aaya tha.

Woh ab wahan hain jahan raaste nahin jaate,
main jis ke saath yahan pichhle saal aaya tha.

Suna hai uss pe chahkne lage parinde bhi,
woh ek paudha jo hum ne kabhi lagaya tha.

Chiraagh doob gaye Kapkapaaye honthon par,
kisi ka haath humare labon tak aaya tha.

Badan ko chhod ke jaana hai aasman ki taraf,
samandaron ne humen ye sabaq padhaya tha.

Tamaam umar mera dum issi dhuen mein ghuta,
woh ek chiraagh tha maine usey bujhaya tha.

Post a Comment

0 Comments