Wo Ek Shakhs…Janti ho tum ?
Wohi … jo bay towaji k sabab, Hamesha bay Usool rehta tha
Wo Ek Shakhs…Janti ho tum ?
Wo jisay neend bohat peyari thi, Wo jo aik khuwab k assar mein tha
Wo jo La_ilam raha manzil say
Wohi jo umar bhar safar mein tha
Wo Ek Shakash…Janti ho tum ?
Jisnay khushbu ki tamna ki thi, Aur Rondhay Gulab thay
Jisnay apni hi Naikion k sabab, Azaab paye thay
Wo Ek Shakhas…Janti ho tum ?
Wo jiska Deen bas Mohabbat tha, Wo jiska Imaan wafaein thien
Wo jis ki soch bhi pareshan thi
Wo jis k Lab pay faqat duaen thien, Wohi uljhi hui si baton wala
Mohabbaton say Dar geya kal shab, Hijar k dukh ko sehtay sehtay
Wo Shakhs Mar geya kal shab
Aao ab Laash uthao uski, Wo jo tere Assar mein rehta tha
Aao ab sogh mnao uska, Wo jo suraj ko Qamar kehta tha
Mohabbaton say Dar geya kal shab
Wo Shakhs…Mar geya kal shab
0 Comments