Wo Jab Se Shehr Kharabaat Ko Rawana Hua
Barah-E-Raast Mulaqaat Ko Zamana Hua
Wo Shehr Chorr Ke Jana To Kab Se Chahta Tha
Ye Nokri Ka Bulawa To Ik Bahana Hua
Khuda Kare Teri Aankhein Hamesha Hansti Rahein
Ye Aankhein Jin Ko Kabhi Dukh Ka Hosla Na Hua
Kinara-E-Sehan Chaman Sabz Bail Ke Niche
Wo Rooz Subha Ka Milna To Ab Afsana Hua
Mein Soochti Hun Ke Mujh Me Kami Thi Kis Shey Ki?
Ke Sab Ka Ho Ke Raha Wo Bas Ik Mera Na Hua
Kise Bulati Hain Aangan Ki Champai Shamein
Ke Wo Ab Apne Naye Ghar Mein Bhi Purana Hua
Dhanak Ke Rang Mein Sari To Rang Li Mein Ne
Aur Ab Ye Dukh Ke Pehan Kar Kise Dikhana Hua
Mein Apne Kaanon Mein Pehley Ke Phool Kion Pehnoon
Zaban-E-Rang Se Kis Ko Mujhe Bulana Hua
0 Comments