Woh shakhss kabhi jis ne mera ghar nahin dekha,

Woh shakhss kabhi jis ne mera ghar nahin dekha,
Us shakhss ko maine kabhi ghar par nahin dekha,

Kya dekho ge haall-e-dill-e-barbaaad ke tum ne,
Curfew main mere sheher ka manzzar nahin dekha,

Jaan dene ko pohanche thay sabhi teri gali main,
Bhaage to kisi ne bhi palatt kar nahin dekha,

Daarrhi tere chehre pe nahin hai to ajab kya,
Yaaron ne tere paitt ke andar nahin dekha,

Tafreeh yeh hoti hai ke ham saer ki khaatir,
Saahil pe gaye aur samandar nahin dekha,

Footpath pe bhi ab nazar aate hain
commissioner,
Kya tum ne koi 'oath commissioner' nahin dekha,

Afsos ke ik shakhss ko dil dene se pehle,
Mattke ki tarah thonk-bajaaa kar nahin dekha..

Post a Comment

0 Comments