Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi

Jab Tum Se Itefaqan Meri Nazar Mili Thi
Ab Yad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi
Tum Youn Mili Dobara Phir Mah-E-February Mein,
Jaise K Hum Safar Ho Tum Rah-E-Zindagi Mein,
Kitna Haseen Zamana Aaya Tha March Le Kar,
Rah-E-Wafa Pe Thi Tum Wado Ki Torch Le Kar,
Bandha Jo Ehd-E-Ulfat April Chal Raha Tha,
Dunia Badal Rahi Thi Mosam Badal Raha Tha,
Lekin May Jo Aaya Jalne Laga Zamana,
Har Shaks Ki Zaban Par Tha Bas Yehi Fasana,
Dunia K Dar Se Tum Ne Badli Thi Jab Nigahain,
Tha June Ka Maheena Lab Par Thi Garm Aahain.,
July Mein Jo Tum Ne Ki Bat Cheet Kuch Kam,
Thay Aasman Pe Badal Aur Meri Aankhain Purnam,
Mah-E-August Mein Jab Barsat Ho Rahi Thi,
Bas Aaso'on Ki Barish Din Rat Ho Rahi Thi,
Kuch Yad Aa Raha Hai Wo Mah Tha September,
Bheja Tha Tum Ne Mujh Ko Tark-E-Wafa Ka Letter,
Tum Ghair Ho Chuki Thi October Aa Chuka Tha,
Dunia Badal Chuki Thi Mosam Badal Chuka Tha,
Mah-E-November Mein Aisi Bhi Rat Aai,
Muj Se Tumhain Churne Saj Kar Barat Aai,
Be Kaif Tha December Jis Bat Se Mar Chuke Thay,
Mosam Tha Sard Us Mein Armaan Bikhar Chuke Thay,
Lekin Ye Kia Batao Ab Haal Doosra Hai,
Are Wo Sal Doosra Ye Sal Doosra Hai

Post a Comment

0 Comments