Mohabbat Mil K Bichre To Isay Qudrat Samajh Lena

Mohabbat Mil K Bichre To Isay Qudrat Samajh Lena
 kahan tujh ko khabar hai ye tera acha bura kia hai

tu rahon se hai loat aaya tujhe kia ghum aaray nadan
jo manzil pa k hain bhatkay wohi jane saza kia hai

Tu jab tak jeet mein rehta samjhta na khuda khud ko
magar jab haar milti hai pata lagta Khuda kia hai

bohat jee jee k dekha Tu , nahi jena tujhe aaya
zara Tu khojh to kar le k teri bhi khata kia hai

bohat ustad dekhe hain nahi milta zamana se
wo jo sikay sabak is se wohi samjhe bala kia hai

Tu maal e zar pay itrata tujhe rang e jahan bhata
magar jab jashan thamta hai pata chalta bacha kia hai

zara sa khar chub jaye, to samjhe waqat hai aaya
kahan koi bata sakta k akir ye qaza kia hai

ye duniya arzi mela yahan se sa ko jana hai
na jo har aankh purnam ho, to marne ka maza kia hai 

Post a Comment

0 Comments