Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shoharat Bhi Le Lo

Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shoharat Bhi Le Lo
Bhale Chiin Lo Mujh Se Meri Javani Magar Mujh Ko Lauta Do Bachapan Ka Savan
Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani

Mohalle Ki Sabse Nishani Purani
Woh Burhiyaa Jise Bache Kehte They Nani
Woh Nani Ki Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Woh Chehre Ki Jhuriryon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaae Nahi Bhool Sakata Hai Koi
Woh Chhoti C Raaten Woh Lambi Kahani

Kari Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalana
Woh Chiriya Woh Bulbul Woh Titali pakarana
Woh Guriya Ki Shaadi Mein Larna Jhagarna
Woh Jhulon Se Girana Woh Gir K Sambhalana
Woh Pital K Challon K Pyare Se Tohafe
Woh Tooti Hui Churiyon Ki Nishani

Kabhi Rait K Unche Tilon Py Jana
Gharaunde Banana Bana K Mitana
Woh Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Woh Khwabon Khilaunon Ki Jagir Apni
Na Duniya Ka GHam Tha Na Rishton K Bandhan
Bari Khubsurat Thi Woh Zindagani

Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani

Post a Comment

0 Comments