ajab apna taluq tha
main lafzon ka tha jadugar
tu ehsason ki ranaai
sarapa main tha pagalpan
sarapa tu thi danaai
tu hangama main veraana
tu mehil thi main tanhai
ajab apna taluq tha
main aankhain tha tu benaai
magar qismat mein likha tha
na tu meri na main tera
bari wazay haqeqat thi
haaya ki pasdari mein
mohabbat haar jati hai
magar munzorr jazbon par
kisi ka bas nahi chalta
abhi us morr par hum hain
jahan se loat jana hi
shahori faisla ho ga
k thandi aahein bharne se
bichar jana hi behtar hai
mujhe tum bewafa keh kar
bhola hi do to behtar hai
wagarna dil mein khatkay gi
mohabat mar k bhatkay gi
bara hi lalchi tha main
hawas ka main pojari tha
mohabbat dhong thi meri
kisi bejaan sheh jaisi
mujhe teri zarorat thi
tujhe jaise saholat ho
wohi ilzam de dena
mohabbat ki nomaish ka
diya bhojhne laga hai ab
bhoja dena hi behtar hai
bhola dena hi behtar hai
0 Comments