Bayaan E haal mufassal nahi huwa ab tak
Jo mas'ala tha wohi hal nahi huwa ab tak
Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi huwa ab tak
BichhaR ke tujh se ye lagta tha tut jaunga
Khuda ka shukr hai paagal nahi huwa ab tak
Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh E umeed
Tumhara dar bhi muqaffal nahi huwa ab tak
Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi huwa ab tak
Daraaz dast E tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi huwa ab tak
------------------------------------------------------------
بیانِ حال مفصّل نہیں ہوا اب تک
جو مسئلہ تھا وہی حل نہیں ہوا اب تک
نہیں رہا کبھی میں تیری دسترس سے دور
مِری نظر سے تُو اوجھل نہیں ہوا اب تک
بچھڑ کے تجھ سے یہ لگتا تھا ٹوٹ جاؤں گا
خدا کا شکر ہے پاگل نہیں ہوا اب تک
جلائے رکھا ہے میں نے بھی اک چراغِ امید
تمہارا در بھی مقفّل نہیں ہوا اب تک
مجھے تراش رہا ہے یہ کون برسوں سے
مِرا وجود مکمل نہیں ہوا اب تک
دراز دستِ تمنّا نہیں کیا میں نے
کرم تمہارا مسلسل نہیں ہوا اب تک
0 Comments