bekaso bebaso ki bhi faryad sun
halab o adlab ki ya rab tu rodad sun
charon janaib yahan sirf makar hain
har taraf kufur k dekho darbar hain
aarash wale madad se jo bezar hain
phir to islam mitne k aasar hain
hum to fironiyon k shikanjay mein hain
tanba taqdeer hain in k panjay mein hain
dekh kar ya khuda main to heraan hon
kia bataon mein kitna pareshan hon
maskaron ka faqat eik saman hon
apni halat py ya rab pasheman hon
muddaton se zamane mein mazlom hon
eik zamane se ya rab main maghmom hon
aaj kyun koi bulbul chehekta nahi
phool gulshan ka koi mehakta nahi
qoam ka koi bacha bhi hansta nahi
darr k zalim se koi sisakta nahi
aag barsi hai mere gulistan par
misar par sham par iraq o afghan par
ghod maon ki hain khali khali wahan
izzataon ki urai gai dhagiyan
koi bhi to nahi hai mera pasban
hukomran arab ho gaye bezaban
phonk dala gaya hai nasheman mera
dekh matam kanah hai ye alam tera
ho gaye mere apne hi ab ajnabi
bar lagti hai khud mujh pe ye zindagi
kash hota yahan mohtesham hi koi
phir na hoti koi behen sehmi hoi
dekh kar sab zolum mujh par khamosh hain
hokamran sab hakomat mein madhosh hain
phir larazne lagi hai zameen asman
shimmer ki phir se chalne lagi barchiyan
paon mein phir se parhne lagi beriyan
phir sisakne lagi hain wohi betiyan
aaj phir se yazidi khare ho gaye
karbala mein the jo lal phir so gaye
betiyan fatima ki hain matam kunah
sar chopane ki khatir wo jayein kahan
chadarein chak hoti hoi dekh kar
azmatein phir se lotti hoi dekh kar
lash e mazlom ki bikti hoi dekh kar
bijhliyan mujh par girti hoi dekh kar
aaj dekho hai sari zameen ro rahi
phir bhi ummat e muhammad hai so rahi
tere mehboob ka hai tujh ko wasta
meri bhi eik dua sun le mere khuda
zalimon gasibon ko zameen se mita
phir se karkhi ko ibn e qasim bana
bekaso bebaso ki bhi faryad sun
halab o adlab ki ya rab tu rodad sun
0 Comments