bikhar rahe hain khad o khal char su mere
mujhe talash na kar lein kahin aadu mere
main shangzad hon sochon ga samne us k
wo aina hai to chamke ga robaro mere
likh jo marsiya main ne mizaajh adam ka
tamam lafz howe hain laho laho mere
ye dhalti sham ka jadu hai ya fareeb nazar
k saye phelte jate hain kubaku mere
nahi ye zakham k meri hasraton ka khon howa
khushi to ye hai k sathi hain surkhoro mere
ye kia k sara zamana hai tera doshman e jaan
kuch apni baat bhi kar ae bahana kho mere
main tujh se mil k apna wajood kho behtha
tamam rang chora le gaya hai tu mere
janoon ki fasal to mohsin guzar gai lekin
jigar k chak abhi tak hain berafo mere
0 Comments