Jalte jalte bujh gayi ek mombati raat ko


Jalte jalte bujh gayi ek mombati raat ko
Mar gayi faaqa-zada masoom bachi raat ko,

Aandhiyon se kya bachaati phool ko kanton ki baarr,
Sehn main bikhri hui thi pati pati raat ko,

Kitna boseeda dareeda pairahann hai zeb-tan,
Woh jo charkha kaaTti rehti hai larki raat ko,

Sehn main ik shor sa har ankh hai hairat-zada,
ChooRRiyan sab toRR deen dulhan ne pehli raat ko,

Jab chali Thandi hawaa bacha thitthar kar reh geya,
Maan ne apne laal ki takhti jalaa di raat ko,

Waqt to har ek dar par dastaken deta raha,
Ek saa-at ke liye jaagi na basti raat ko,

Margh-zar-e-shayari main gum raha sibt-e-ali,
So gayi raah dekhte beemar beewi raat ko..

Post a Comment

0 Comments