Jane kia majburi thi us ki


Jane kia majburi thi us ki.
Jis ne har wada bhula diya
Har rishta tor diya.
Na koi taluq rakha.
Na kabhi bhul k yaad kia.
Tha jo ik ik pal ka razdan.
Zindagi thi jis k dam se rawan dawan.
Aaj jane kahan kho gaya.

Har ik k dil mein basne wala.
Sab se apni batein manwane wala.
Kiyon sab ko akela kar gaya.
Hansta muskurata chehra us ka.
Aaj bhi. nigahon mein phirta hai.
Fizaon mein abhi bhi khushbu basi hoi hai us ki.
Or kahin qarib hi sahi.
Us k qadmon ki aahat sunai deti hai.

Aaj bhi.
Nazren bhatakti hen char soo us ki talash min.
Lekin wo to.
Ajnabi manzilon ka matlashi.
Ajnabi raston min hi kho gya.
Kabhi na loutne ko.
Jane kia majburi thi us ki.
Jo bina bataye yon hi hum se rooth gya.
Zindagi bhar ki chahat ko.
Ik lamhe min bakher k.
Hamesha k liye bhula k.
Humen zamane bhar ki dhool min atne ko.
Toote khwabon ki karchiyan sametne ko.
Akela chor gaya.
Jane kahan kho gaya.

Post a Comment

0 Comments