tere khamosh se honton mein gile lagte hain
sard lehjhe ki rasan se ye sile lagte hain
lamha lamha hi koi mar k guzare kaise
husn aur ishq kitabon mein bhale lagte hain
mere peron mein hain zanjeer gunah gari ki
parr bhi futras ki tarhan mere jale lagte hain
meri aankhon se howa dorr wajood e nazuk
baat aankhon ki nahi khwab chile lagte hain
mere ashar tere bad mujhe yon lipte
jaise mayyat ko sabhi log gale lagte hain
ab bhi tehra hon Attash apni aana ko le kar
teri kamaat k sabhi saye dhale lagte hain
0 Comments