Woh mujhe toot ke chaahega chhor jaayega,


Tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai,
misaal-e rang woh jhaunka nazar bhi aata hai.

Tamaam shab jahan jalta hai ek udaas diya,
hawa ki raah mein ek aisa ghar bhi aata hai.

Woh mujhe toot ke chaahega chhor jaayega,
mujhe khabar thi usey ye hunar bhi aata hai.

Ujaad bann mein utarta hai ek jugnu,
hawa ke saath koi humsafar bhi aata hai.

wafa ki kaun si manzil pe usne chhoda tha,
ki woh toh yaad humein bhool kar bhi aata hai.

Jahan lahoo ke samundar ki hadd theharti hai,
wahin jazeera-e-laal-o-gauhar* bhi aata hai.

Chale jo zikar farishton ki paarsaai* ka, 
toh zer-e-behas* maqaam-e-bashar* bhi aata hai.

Abhi sinaan* ko sambhaale rahein aduu mere,
ki un safon* mein mera sar bhi aata hai.

Kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se,
shua-e-subh* ki soorat utar bhi aata hai.

Isiliye main kisi shab na so saka ‘Mohsin
woh mehtaab kabhi baam* par bhi aata hai. !!

Post a Comment

0 Comments