Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?

Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?
Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?

Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo
Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?

Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?

Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi
Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?

Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye
Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?

Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga
Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?

Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye
Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?

Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera
Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?

‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

Post a Comment

0 Comments