Ajab hai rang e chaman, jaa-ba-ja udaasi hai
Mahek udaasi hai, baad-e-sabaa udaasi hai
Nahi nahi yeh bhala kis ne kah diya tumse
MaiN thik thak hun, haaN bus zara udaasi hai
MaiN mubtila kabhi hota nahi udaasi mein
MaiN wo hun jis mein K khud mubtila udaasi hai
Tabeeb ne koi tafseel to bataayi nahi
Bahut jo poochhha to itna kaha udaasi hai
Gudaaz Qalb khushi se bhala kisi ko mila?
Azeem wasf hi insaan ka udaasi hai
Shadeed dard ki rau hai ravaaN rag-e-jaaN mein
Bala ka ranj hai be inteha udaasi hai
Firaaq mein bhi udaasi baRe kamaal ki thi
Pas-e-visaal to us se siwaa udaasi hai
TumheN mile jo khazaane tumhein mubrak hoN
Meri kamaayi to yeh be-bahaa udaasi hai
Chhupa rahi ho magar chhup nahi rahi meri jaaN
Jhalak rahi hai jo zer-e-qaba udaasi hai
DimaaGh mujh ko kahaaN kaainaati mas’aloN ka
Mera to sab se baRa mas’alaa udaasi hai
Falak hai sar pe udaasi ki tarah phaila hua
ZameeN nahi mere zer-e-paa udaasi hai
Ghazal ke bhes mein aayi hai aaj mahram-e-dard
Sukhan ki oRhe hue hai ridaa, udaasi hai
Ajeeb tarh ki haalat hai meri be-ahwaal
Ajeeb tarha ki be-maajraa udaasi hai
Wo kah rahe the k shair ghazab ka hai ‘Irfan’
Har aek she’r mein kya Gham hai kya udaasi hai
0 Comments