Kabhi mayoos mat hona
Andhera kitna gehra ho
seher ki raah me haail
kabhi bhi ho Nahi sakta
sawera hoke rehta hai
Kabhi Mayoos mat hona
ummido me samundar mein
tlaatum aate rehte hain
safeene dobte bhi hain
safar Lekin nahi rukta
musafir toot jaate hain
Magar maanjhi nahi Thakta
safar teh hoke rehta hai
Kabhi maoous mt hona
Khuda haazir hai nàazir bhi
Khuda zaahir hai manzar bhi
wahi hai haal se waaqif
wahi seeno ke andar bhi
musibat ke andhero mein
kabhi tum maang kar Dekho
tumhari Aankh ke aansu
yunhi dhalne nahi dega
tumhari aas ki gaagar
kabhi girne nahi dega
hawa Kitni mukhaalif ho
tumhe murne nahi dega
Kabhi mayoos mat Hona
Wahan insaf ki chakki
zara dhire se chlti hai
magar chakki ke paato mein
bahot baarik pistaa hai
tumhare ek ka badla wahan 70 se zyada hai
niyyat tulti hai palro mein
amal naape nahi jaate
wahan jo haath uthte hain
kabhi khaali nahi aate
zara si der lagti hai
magar wo deke rehta hai
darida damano ko wo
rafu karta hai rehmat se
agar kashkol tota ho
to wo bharta hai nemaat se
Jab uske rehem ka sagar
chalak ke josh khata hai
qehar dhata hua suraj
yaka yak kaanp jata hai
hawa uthti hai lehra kar
ghataa sajde mein girti hai
jahan dharti tarsti hai
wahin rehmat barsti hai
taraste reg zaaro pr
abr beh k hi rehta hai
nazar wo uth k rehti hai
karam hoke hi rehta hai
ummido ka chamkta din
amar ho k hi rehta hai
kabhi mayoos mat hona
0 Comments