Kya wasl ki saa’at ko tarasne ke liye tha

Kya wasl ki saa’at ko tarasne ke liye tha
Dil, shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha

Sehra mein bagooloN ki tarah naach raha hun
Fitrat se maiN baadal tha barasne ke liye tha

Rotee hui ek bheeR mere gird khaRi thi
Shayad yeh tamaasha mere hansne ke liye tha

Kuchh raat ka ehsaaN hai na suraj ka karam hai
Guncha to bahar-haal bikasne ke liye tha

Us raah se guzra huN jahaN saaNs na de saath
Har naqsh-e-kaf-e-paa mere dasne ke liye tha

Har qatra meri aaNkh se bahne ko to tha betaab
Har zarra mere paaoN jhulasne ke liye tha

Post a Comment

0 Comments