Bahut Dhonda Bahut Dekha Koi Apna Na Ban Paya
Jise Apna Samajh Bethe Usi Se Hum Ne Gham Paya
Jisy Chaha Tha Hum Ne Is Bhari Dunya Se Bhi Barh Kar
Ajab Qismat Rahi Apni Na Ho Us Se Milan Paya
Bazahir Khushnuma Kothi To Thi Purlutf O Pur Ronaq
Jab Andar Jhank Kar Dekha Wahan Khali Sehan Paya
Jo Sabza Zar Dikhta Tha Hamin Gulzar Dikhta Tha
Qareb Aa Kar Jo Dekha To Usy Ujrra Chaman Paya
Jo Un Se Dor The Hum To Wo Ulfat Hum Se Rakhte The
Mile Jab Un Se To Nafrat Ka Darya Maujzan Paya
Rula Dena Hansa Dena Hansa K Phir Rula Dena
Yahi Sab Ki Ada Pai Yahi Sab Ka Mishan Paya
Gily Shikwe To Karte Hein Wafa Koi Nahin Karta
Isi Raah Pe Sabi Logon Ko Hum Ne Gamzan Paya
Mahaz Muflis Jo Dikhte The Wohi Mukhlis Mily Hum Ko
Magar Daulat Jahan Par Thi Wahan Ikhlas Kam Paya
Yahan Dunya Mein Ay FaiZ Yahi Ik Baat Sach Pai
0 Comments