chup reh kar bhi yaar pukara jaa sakta hai

chup reh kar bhi yaar pukara jaa sakta hai
in ankhon main chaand utaara ja sakta hai

sari lehren tere sadqay de sakta hon
sara darya tujh per vaara ja sakta hai

phir tum se hi aik muhabbat ho sakti hai
phir se tum ko jeet k haara ja sakta hai

tujh ko taknay aor tujhay taktay rehnay se
ankhon se is baat nazara jaa sakta hai

us k aariz dekh k main ne aksar socha
mukh chandaa ka aor nikhaara ja sakta hai

ashkon main mojood musafir shayed tujh ko
ankhon k us paar utara ja sakta hai

tu bichra hai aor main itna hi samjha hon
ab tere bin waqat guzara jaa sakta hai

Post a Comment

0 Comments