Nazar Teri Yun Utaar jayen

Nazar Teri Yun Utaar jayen
Ke khud Ko Sadqay Mai Waar jayen

So Ab Anaon Ko Dafan Kar k
Kisi Ke Aage To Haar jayen

Jo Zindagani Ke Pal Bache Hain
Wo Hans Hansa Kar Guzaar jayen

Na Aise Rotho Khayal Karlo
Hamain Ye Lamhe Na Maar Jayen

Udas Hokar Bhi Kya Mila Hai
Chalo udasi Ke Paar jayen

Post a Comment

0 Comments