dekho main ne baat tumhari maani hai

in ankhon main hijr kaheen abaad kiya
din main qaid kiya shab main azaad kiya
sari umr tumharay naam laga daali
umr k ik ik lamhay ne barbaad kiya
ab sanson main door talak veerani hai
dekho main ne baat tumhari maani hai

tum ne kaha tha khush rehna, khush rehta hon
tum ne kaha tha hans dena, hans deta hon
aor koi gar mere baray poochay to
tum ne kaha tha chup rehna, chup rehta hon
phr bhi mujh per ik dukh ki sultani hai
dekho main ne baat tumhari maani hai

ab bhi hai mamool wohi din raat wohi
dukh bhi, dukh ka tool wohi, aor zaat wohi
ab bhi aksar tum per ghazlen kehta hon
ab bhi khud se krta hon ik baat wohi
neya hai chehra per tasveer purani hai
dekho main ne baat tumhari maani hai

dukh dardon ki mehfil khoob sajata hon
dukh seh seh kr ab main dard banata hon
deevaron k aansu behnay lagtay hain
aisay ankh main bhar kr paani laata hon
ab tanhayi bhi meri deevani hai
dekho main ne baat tumhari maani hai

Post a Comment

0 Comments