janay kis tarah guzri

janay kis tarah guzri
raah zindgi wali
sakht be kalli wali
aarzu ki basti main
umr be basi wali
mehrama tumharay bin
dekha wo khwabon ka
khwaab dekhtay rehna
kese raat karta hon
kis tarah se sota hon
kitna dard hota hai
phoot phoot rota hon
mehrama tumharay bin
baar baar zid krna
aik chotay bachay ka
har ajeeb khwakhish per
main bhi uski hi manind
aarzuyen krta hon
door tak bhatakta hon
der tak tadapta hon
tum ko yaad karta hon
mujh se har qasam le lo
lamha bhar tumharay bin
mera jee nahi lagta
aor sochta hon main
umr kese guzray gi
mehramaa tumharay bin

Post a Comment

0 Comments