kisi firaaq main rakhay huye vasaal k din

kisi firaaq main rakhay huye vasaal k din
hain muddaton se kahin la pata kamaal k din

jisay urooj pe ja kar mushaq'qaton se mila
wo shakhs muj se kahin kho gya zavaal k din

yehi dua hai rahain sabz hi tere mosam
khuda kabhi na dikhaye tujhay malal k din

ye umr bhar ki reyazat bhi kaam aa na saki
jawab de na saka main kisi sawaal k din

tassawuraat ki raton main soag barpaa hai
kaheen pe qatl huye hain mere khyaal k din

yeh janta hon k mumkin nahi wo loat sakay
guzaarta hon magar zain ehtamaal k din

Post a Comment

0 Comments