sabhi mosam hamaray hain chalay aao

sabhi mosam hamaray hain chalay aao
milan k ista'aray hain chalay aao

hamain shikwa muhabbat se nahi ab bhi
k hum ab bh tumharay hain chalay aao

udaasi bain krti hai tumharay bin
kahan apne guzaray hain chalay aao

meri ankhen bhi ab khwaabon se khayef hain
khasaray hi khasaray hain chalay aao

tmhain hum ne saleeqay se batana hai
tumharay hain, tumharay hain, chalay aao

Post a Comment

0 Comments