ankhen bhi to bhar ati hain aksar hi muskanay se
maa kitni khush ho jati hai mere ghar ajanay se
zehn o dil ka gosha gosha kab tak taza dum rehta
behtar tha tum khud ajatay yu mujh ko yaad anay se
soona soona angan to youn hi khanay ko dorray hai
so dukh batt jaya kartay hain perron ko batlanay se
ab to banjar banjar ankhen zyada chup chup rehti hain
dil rone lagta hai us k yadon main ajanay se
ab to ik muddat se koi khwaabon main bhi aya na
hum bhi ab aajiz aye hain shamon ko ghar janay se
meri sanson ki junbish se tuu bhi dar sa jata hai
main bhi darta rehta hon ab tera dil behlanay se
main ye tum se kehta tha na tum pagal ho jao gay
pagal pagal hi pagal ko samjhanay se
0 Comments