aasmanon se bulaya bhi nahi jaa sakta
ab usay haal sunaya bhi nahi jaa sakta
wo manata jo nahi rothay huye logon ko
us se ab rooth k jaya bhi nahi jaa sakta
us ko taron main koi khaas nahi dil chaspi
chaand ko torr k laya bhi nahi jaa sakta
jis ki tabeer main hathon main liye phirta hon
ab usay khwaab main laya bhi nahi jaa sakta
us se hum tark e taaluq bhi nahi kar saktay
baat ko aor barhaya bhi nahi jaa sakta
tum ne takheer bohat ki hai sada dene main
mujh se ab loat k aya bhi nahi jaa sakta
0 Comments