phir pareshan kar diya gaya hon

phir pareshan kar diya gaya hon
kitna veeran kar diya gaya hon

yani main saans le nahi sakta
yaani be jaan kar diya gaya hon

mojazay mujh ko aam lagtay hain
itna heraan kar diya gaya hon

tu bhi mushkil se ho gya muhskil
main bhi asan kar diya gaya hon

is se pehle bhi dasht jesa tha
aor sunsaan kar diya gaya hon

zain pehle to main seyana tha
ab to nadaan kar diya gaya hon

Post a Comment

0 Comments