phir se tera ho jana hi behtar hai

phir se tera ho jana hi behtar hai
yaani tanha hojana hi behtar hai?

pal pal hansne walay ab yeh samjhay hain
kuch lamhon ko ro jana hi behtar hai

mil jull kar taray samjhanay aye hain
so jao ab sojana hi behtar hai

balon se ankhon tak aa kr yeh socha
in ankhon main kho jana hi behtar hai

uski ujri yaadon k ik sehra main
khoya hon aor khoo jana hi behtar hai

Post a Comment

0 Comments