udas ho gayi nazar
k muddaton se dekhne ko
phool phool
daliyan
kali kali taras gayi
jo hasrat e vasaal thi
wo ankh se kuch is tarah
baras gayi k kya kahain
hudood e zabt se paray
khyaal e aabru nahi
kamaal e justaju nahi
magar yeh zoam hai wahan
hazar haa, karoor haa
yeh shukr hai. zameen e dil
ujar gayi to kya hua
abhi yeh be namu nahi
ae khwakhishon k
hasraton ki
vaadiyon k devta
udaas ho gayi nazar
0 Comments