Ae chand ki kirno jao na

Ae chand ki kirno jao na
Tum usko cho kar aao na

Wo kab kab kya kya krta hai
Wo jagta hai ya sota hai

Wo kis se batein karta hai
Wo sham ko kaisa lagta hai

Wo raat ko kaisa dikhta hai
Jab soye kaisa lagta hai

Jab jagay kaisa dikhta hai
Tum chupke chupke jao na
Tum usko cho kar aao na

Hum uske bin adhure hain
Aur jeena mushkil lagta hai

Tum kaan mein uske keh dena
Koi yaad bahot usay karta hai

Post a Comment

0 Comments