mohsin naqvi 2 lines poetry mohsin naqvi poetry images mohsin naqvi shayari in hindi mohsin naqvi islamic poetry Mohsin Naqvi ghazals nazams sher shayari and books are available mohsin naqvi poetry books free download pdf barish poetry by mohsin naqvi mohsin shayari 2 line mohsin naqvi
Gum sum hua Awaaz ka darya tha Jo ek shakhs
Pathar bhi nahin ab wo sitara tha Jo ek shakhs
Shayed wo koi harf e wafa dhoond raha tha
Chehro ko barray ghor se parhta tha Jo ek shakhs
Sehra ki tarah dair se pyaasa tha wo shayed
Baadal ki tarah toot ke barsa tha Jo ek shakhs
Aye taiz hawa Koi khabar Us Ke Junoon Ki
Tanha safar e shouq Pe nikla tha Jo ek shakhs
Ab Aakhiri satron Mein kahin naam hai uss ka
Ahbaab ki fehrist mein Pehla tha Jo ek Shakhs
Haathon mein chupaye huwy Phirta hai kayi zakhm
Sheeshe ke Khilonon se behelta tha Jo ek shakhs
Murr murr Ke usay daikhna chaahen Meri Aankhain
Kuch door Mujhe chorrne aaya tha Jo ek shakhs
Ab us ne bhi apna Liye dunya kai qareenay
Saaye ki Rafaqat se darta tha Jo ek shakhs
Har zehen mein kuch naqsh e wafa chorr gaya hai
Kehne ko bharey shehar mein tanha tha Jo ek shakhs
Munkir hai wohi ab Meri Pehchaan ka Mohsin
Aksar mujhe Khat khoon se Likhta tha Jo ek Shakhs
0 Comments