Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De

Shakeel Badayuni Poetry Shakeel Badayuni Shayari Urdu Shayari Hindi Shayari Sher Ghazals of Shakeel Badayuni shakeel badayuni books shakeel badayuni ghazal lyrics shakeel badayuni naat shakeel badayuni biography in hindi shakeel badayuni gazals shakeel badayuni hindi songs shakeel badayuni shayari in hindi shakeel badayuni ghazals in hindi
Mere hum nafass mere hum nawa
mujhe dost ban ke dagha na de

Main hoon dard e ishq se jaan ba lab 
mujhe zindagi ki dua na de

Main gham e jahan se nidhaal 
ke saraapa huzn o malaal hoon

Jo likhe hain mere naseeb main
woh alam kisi ko khuda na de

Na yeh zindagi meri zindagi
na yeh dastaan meri daastan

Main khayal o veham se door hoon
Mujhe aaj koi sadaa na de

Mere ghar se door hain raahaten
mujhe dhoondti hain museebten

Mujhe khauf yeh ke mera pata koi 
gardashon ko bataa na de

Mujhe chorr de mere haal par
tera kiya bharosa ae chaaragar

Yeh teri nawaazish e mukhtasar
mera dard aur barrhaa na de

Mera azam itna buland hai ke 
paraaye sholon ka darr nahin

Mujhe khauf aatish e gul se hai 
kahin yeh chaman ko jalaa na de

Dar e yaar pe barri dhoom hai
wohi aashiqon ka hujoom hai

Abhi neend aani hai husn ko
koi shor kar ke jagaa na de

Mere daagh e dil se hai roshni
yehi roshni meri zindagi

Mujhe dar hai ae mere chaaragar
yeh chiraagh tu hi bhujaa na de

Woh uthe hain le ke khum o subu
aray ae shakeel kahan hai tu

Tera jaam lene ko bazm main
koi aur hath barrha na de

Post a Comment

0 Comments