Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga

Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga
Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jaye ga

Chor uchakkon ki karo qadar ke maloom nahin
Kon kab kon si sarkaar mein aa jaye ga

Apne saahil se ye angaare hata lo Warna 
saara paani meri talwaar mein aa jayega

Post a Comment

0 Comments