Bas yehi soch k har bar manata hon usay

Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be dard hain ye log zamany waly

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan milty hain wo yar purany waly

Main dua go hoon sada neendein hon mubarik tujh ko
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly

Bas yehi soch k har bar manata hon usay
Lot k aaty nahi rooth k jany waly

Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly

Post a Comment

0 Comments