hum raat bohat roye bohat aah o faghan ki
dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki
sir zaano pe rakhe hue kya soch rahi ho
kuch baat samajhti ho mohabbat zadgan ki
tum meri taraf daikh k chup ho si gai theen
wo saat e khush waqat nishaat guzran ki
ek din ye samajhte thay k payan e tamanna
ek raat hai mahtaab k ayyam e jawan ki
ab aur hi auqat hai aay jaan e tamanna
hum nala kushan, begunah, ghum zadgan ki
is gher ki khuli chhat pe chamakte hue taaro
kehte ho kabhi baat wahan ja k yahan ki
bargashta hua hum se ye mahtaab to piyaro
bas baat suni raah chala kehkashan ki
Allah kare Meer ka jannat mein makan ho
marhom ne her baat humari hi bayan ki
parhte hain shab o roz isi shakhs ki ghazalen
ghazalen k hikayaat hain hum dil zadgan ki
tum charkh e chhaarum k sataye hue logon
taaraaj karo zindagiyan ehal e jahan ki
acha humen bante hue mitte hue dekho
hum mauj e gurezan hi sahi aab rawan ki
Insha se milo is se na roken ge lekin
is se ye mulaqat nikaali hai kahan ki
mashhor hai her bazam mein is shakhs ka sauda
baaten hain bohat shehar mein badnam miyan ki
aay dosto aay dosto! aay dard naseebo
galiyon mein chalo sair karen shehar e butan ki
hum jayen kisi sim't kisi chawk pe thehren
kahiyo na koi baat kisi sood o ziyan ki
Insha ki ghazal sun lo per ranjor na hona
dewana hai dewane ne ek baat bayan ki
hota hai yehi ishq mein hanjaar sabhi ka
baaten yehi dekhi hain mohabbat zadgan ki
0 Comments