Khamosh lab hain jhuki hain palkeen

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen
dilon mein ulfat nayi nayi hai 
Abhi takalluf hai guftgoo mein 
abhi mohobat nayi nayi hai 

Abhi na aayegi nennd tum ko 
abhi na hum ko sukon mile ga 
abhi to dharke ka dil zeyada 
abhi ye chahat nayi nayi hai 

Bahar ka aaj pahla din hai 
chalo chaman mein tehl k aayen 
faza mein khushbo nayi nayi hai 
gulon pe rangat nayi nayi hai 

Jo khandani raees hain wo 
mizaaj rakhte hain narm apna 
tumhara lehja bata raha hai 
tumhari dolat nayi nayi hai 

zara sa Qudarat ne kya nawaza 
aa k baithy ho pehli saff mein 
abhi se urrny lagy hawa mein 
abhi to shohrat nayi nayi hai

Post a Comment

1 Comments