Kahin be kinar se ratjage
Kahin zar nigar se khawab se
Tera kia asool hai zindagi
Tujhe kon iska hisab de
Jo bicha sakon tere waste
Jo saja sakon tere raste
Meri dastras mein sitare rakh
Meri muthiyon mein gulab de
Yeh jo khawishon ka parind hai
Ise mosamon se gharz nahin
Yeh urhe ga apni hi mouj mein
Ise aab de k saraab de
Tujhe chu liya to bharak uthe
Mere jism-o-jaan mein charagh se
Isi aag mein mujhe rakh ker
Isi shoulgi ko shabaab de
Kabhi yun bhi to ho, tere rubaru
Mein nazar mila k yeh keh sakon
Meri hasraton ko shumar ker
Meri khawishon ka hisab de
Teri ik nigah k faiz se
Mere kasht-e-harf chamak uthe
Mera lafz lafz ho kehkashan
Mujhe aik aisi kitaab de
0 Comments